mere mehboob qayamat hogi aaj rusva teri galiyon mein mohabbat hogi meri nazrein to gila karti hain tere dil ko bhi sanam tujhse shikayat hogi mere mehboob
teri gali maein aata sanam nagma wafa ka gaata sanam tujhse suna na jaata sanam phir aaj idhar aaya hoon magar yeh kehne maein deewana khatm bas aaj yeh vehshat hogi aaj rusva teri galiyon mein mohabbat hogi mere mehboob
meri tarah tu aahen bhare tu bhi kisise pyar kare aur rahe voh tujhse parey toone o sanam dhaye hain sitam to yeh tu bhool na jaana ki na tujhse bhi inayat hogi aaj rusva teri galiyon mein mohabbat hogi mere mehboob
mere mehboob qayamat hogi aaj rusva teri galiyon mein mohabbat hogi naam niklega tera hi lab se jaan jab iss dil-e-nakam se rukhsat hogi mere mehboob
mere sanam ke dar se agar baad-e-saba ho tera guzar kehna sitamgar kuchh hai khabar tera naam liya jab tak bhi jiya ae shama tera parwana jisse tujhe aaj bhi nafrat hogi aaj rusva teri galiyon mein mohabbat hogi mere mehboob