jindagi iss tarah se lagne lagi rang udd jaaye jo deewaaro se abb chhupaane ko apna kuchh na raha jakhm dikhane lage daraaro se
abb talak sirf tujhko dekha tha aaj tu kya hai yeh bhi jaan liya aaj jab gaur se tujhe dekha hum galat the kahin yeh maan liya hum galat the kahin yeh maan liya
teri har bhul me kahin shayad hum bhi shaamil hai gunaah gaaro se abb chhupaane ko apna kuchh na raha jakhm dikhane lage daraaro se
aa mere saath milke hum phir se apne khwaabo ka ghar banaate hai jo bhi bikhara hai woh sametate hai dhundkar phir khushi ko laate hai dhundkar phir khushi ko laate hai
bojh toh jindagi ka katata hai ek duje ke hi sahaaro se jindagi iss tarah se lagne lagi rang udd jaaye jo deewaaro se abb chhupaane ko apna kuchh na raha jakhm dikhane lage daraaro se