Chhod de saari duniya kisi ke liye ye munaasib nahin aadmi ke liye Chhod de saari duniya kisi ke liye ye munaasib nahin aadmi ke liye pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye Chhod de saari duniya kisi ke liye
tan se tan kaa milan ho na paayaa to kyaa man se man kaa milan koyi kam to nahin man se man kaa milan koyi kam to nahin khushboo aati rahe door hi se sahi saamne ho chaman koyi kam to nahin saamne ho chaman koyi kam to nahin chaand miltaa nahin sabko sansaar mein chaand miltaa nahin sabko sansaar mein hai diyaa hi bahut roshni ke liye Chhod de saari duniya kisi ke liye
kitni hasrat se takti hain kaliyaan tumhen kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin ek duniyaa ujad hi gayi hai to kyaa doosraa tum jahaan kyun basaate nahin doosraa tum jahaan kyun basaate nahin dil na chaahe bhi to, saath sansaar ke dil na chaahe bhi to, saath sansaar ke chalnaa padtaa hai sab ki khushi ke liye Chhod de saari duniya kisi ke liye ye munaasib nahin aadmi ke liye pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye Chhod de saari duniya kisi ke liye