|
Lyrics:
Aankhon ki gustakhiyan maaf ho
O aankhon ki gustakhiyan maaf ho
Ek tuk tumhein dekhti hain
Jo baat kehna chaahe zubaan
Tumse ye wo kehti hain
Aankhon ki sharmo haya maaf ho
Tumhein dekhke jhukti hain
Uthi aankhein jo baat na keh sakin
Jhuki aankhein wo kehti hain
Aankhon ki
Aankhon ki
Gustakhiyan maaf ho
Kaajal ka ek til tumhare labhon pe laga lu
Haan chanda aur suraj ki nazron se tumko bacha lu
Oh palkhon ki chilman mein aao main tumko chhupa lu
Khayaalon ki ye shokhiyaan maaf ho
Har dam tumhein sochti hain
Jab hosh mein hota hai jahan
Madhosh ye karti hain
Aankhon ki sharmo haya maaf ho
Ye zindagi aapki hi amaanat rahegi
Dil mein sada aapki hi mohabbat rahegi
In saanson ko aapki hi zaroorat rahegi
Haan is dil ki naadaniyaan maaf ho
Ye mere kahan sunti hain
Ye pal pal jo hote hain bepal sanam
Toh sapne naye bunti hain
Aankhon ki
Aankhon ki
Gustakhiyan maaf ho
Sharmo haya maaf ho
All lyrics are property and copyright of their owners.
Copyright © 2002-2026. Zortam.com. All Rights Reserved.
|