|  | 
 	
	|  | 
        
	
		
	
    
	Songs    | Albums    | Album Arts 
 Lyricist: Kisna
 Lyrics: 
 Vo sikandar hi doston kehlaata haiHaari baazi ko jeetna jise aata hai
 Niklenge maidan mein jis din hum jhoomke
 Dharti dolegi ye kadam choomke
 
 Hey vo sikandar hi doston kehlaata hai
 Haari baazi ko jeetna jise aata hai
 Niklenge maidan mein jis din hum jhoomke
 Dharti dolegi ye kadam choomke
 
 Jo sab karte hain yaaron vo kyon hum tum karein
 Yoonhi kasrat karte karte kaahe ko hum marein
 Gharwaalon se teacher se bhala hum kyon darein
 Yahan ke hum sikandar
 Chaahein to rakh lein sab ko apni jeb ke andar
 Arre humse bachke rehna mere yaar
 Nahin samjhe hai vo humein to kya jaata hai
 Haari baazi ko jeetna humein aata hai
 
 Ye galiyan apni ye raste apne kaun aayega apne aage
 Hey raahon mein humse takrayega jo hat jayega vo ghabraake
 Yahan ke hum sikandar
 Chaahein to rakh lein sab ko apni jeb ke andar
 Arre humse bachke rehna mere yaar
 Nahin samjhe hai vo humein to kya jaata hai
 Haari baazi ko jeetna humein aata hai
 
 Ye bholi bhaali matwaali pariyan jo hain ab daulat pe qurbaan
 Jab keemat dil ki ye samjhengi to humpe chhidkengi apni jaan
 Yahan ke hum sikandar
 Chaahein to rakh lein sab ko apni jeb ke andar
 Arre hum bhi hain shehzaade gulbaag
 Nahin samjhe hai vo humein to kya jaata hai
 Haari baazi ko jeetna humein aata hai
 
 Niklenge maidan mein jis din hum jhoomke
 Dharti dolegi ye kadam choomke
 Hey niklenge maidan mein jis din hum jhoomke
 Dharti dolegi ye kadam choomke
 
 Nahin samjhe hai vo humein to kya jaata hai
 
 
		
		
	
 
   | 
    | All lyrics are property and copyright of their owners. 2025 Zortam.com
 |