Artist: A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z

Songs    | Albums    | Album Arts

Song:Chand Sitare
Album:Kaho Naa...Pyaar HaiGenres:Pop
Year:2000 Length:394 sec

Lyrics:

Chaand sitare phool or khushboo
Chaand sitare phool or khushboo
Ye to saare puraane hai
Tazaa tazaa kali khili hai
Ham uske diwane hai

Are kaali ghataaen barkhaa sawan ho
Kaali ghataaen barkhaa sawan
Ye to sab afsaane hai
Tazaa tazaa kali khili hai
Ham uske diwane hai

Hai nayaa nayaa divaanaapan
Hai nayaa nayaa divaanaapan

Pahana ke taj javaani kaa
Hans ke laut gaya bachapan
Geet ghazal sab kal kii baaten ho
Geet ghazal sab kal kii baaten

Uske nae taraane hai
Tazaa tazaa kali khili hai
Ham uske diwane hai
Hai rup main itnaa saadaapan
To kitna sundar hoga man

Hai rup main itnaa saadaapan
To kitna sundar hoga man
Bin gahane or singaar bina
Wo to lagati hai dulhan
Kaajal bindiya kangan jhumake ho
Are kaajal bindiya kangan jhumake

Ye to guzare jamaane hai
Tazaa tazaa kali khili hai
Ham uske diwane hai
Chaand sitare phool or khushboo
Ye to saare puraane hai

Tazaa tazaa kali khili hai
Ham uske diwane hai
Are kaali ghataaen barkhaa sawan
Ye to sab afsaane hai

Tazaa tazaa kali khili hai
Ham uske diwane hai




 

All lyrics are property and copyright of their owners.
2025 Zortam.com