|
|
|
Songs | Albums | Album Arts
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Lyrics:
Ai, phulon kee raani, bahaaron kee malikaa Tera muskuraana gazab ho gaya Ai, phulon kee raani, bahaaron kee malikaa Tera muskuraana gazab ho gaya Naa dil hosh mein hai, naa hum hosh mein hain Nazar ka milaanaa gazab ho gaya
Tere honth kya hain, gulaabi kanval hain Ye do pattiyaan pyaar kee ek ghazal hai Vo najuk labon se mohabbat kee baathen Hum hee ko sunaanaa gazab ho gaya Ai, phulon kee raani, bahaaron kee malikaa Tera muskuraana gazab ho gaya
Kabhi khul ke milana, kabhi khud jhijakna Kabhi raaston par bahakana-machalanaa Ye palkon kee chilman uthaakar giraana Giraakar uthaanaa gazab ho gaya Ai, phulon kee raani, bahaaron kee malikaa Tera muskuraana gazab ho gaya
Fizaaon mein thandak, ghata par javanee Tere gesuon kee badee meharbaanee Har ek pench mein saikadon maykade hain Tera ladkhadana gazab ho gaya Ai, phulon kee raani, bahaaron kee malikaa Tera muskuraana gazab ho gaya Naa dil hosh mein hai, naa hum hosh mein hain Nazar ka milaanaa gazab ho gaya
|
All lyrics are property and copyright of their owners.
2025 Zortam.com
|